Musalman Hone ke baad ek muslim aadmi ke liye namaz bahut zaruri hai,
Namaz kisi bhi halat me maaf nahi hai, aadmi khare ho kar namaz nahi parh sakta
to baith kar parhe, agar bimari ki wajah baith nahi sakta to lete lete parhe,
agar let kar bhi nai parh sakta to sar aur aankh ke ishaare se parhe, Quran
shareef me jagah jagah allah tala ne namaz ka order diya hai, namaz hamare Nabi
salallahu alaihi wasallm ki sab se achhi cheez thi, yeh aap ke aankhon ki
thandak thi, namaz behayaayi aur buri baaton se rokti bhi hai, namaz parhne
wala aadmi saaf suthra rahta hai
Namaz Ka Tarika:
Namaz se pahle aadmi ka paak saaf hona zaruri hai, us ke baad khoob
achhi tarah se wazu kare(Click here>>Wazu kese kare), phir “Qibla” ki taraf rukh kar ke khara ho jaye, phir
jo namaz parhni hai dil se us ki niyyat kare ki: “mai fajr ki namaz parh raha
hun ya zuhr ki”, us ke baad dono hath kaanon tak uthaye, aur “Allahu
Akbar” kahte huye donon hath naff ke niche bandh le, isi ko “Takbir e
tahrima” kahte hain
Right hand left hand ke upar, aur nigaah
“Sajda” ki jagah par rakhhe, aur aurat apne hath ko sirf kandhon tak uthaye, us
ke baad sine pe bandh le, isi ko “Qayam” kahte hain
Aurat
apne hath ko kanon tak uthane ke bajay apne kandhon tak uthaye aur apne seene
par bandh le.
Us ke badd aahista aahisa “Sana” parhe
.سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، تَبَارَكَ اسْمُكَ،
وَتَعَالَى جَدُّكَ، وَلَا إِلَهَ غَيْرُكَ
“SUBHANAKA ALLA HUMMA W BIHAMDIKA, W TABARAKA ISMUKA, W TAALA
JADDUKA, W LA ILAHA GHIRURUK”
Us ke baad “Taauuz,
Tasmiyah”
أٌعُوذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيطَانِ
الرَّجِيمِ بسم الله الرحمنِ الرَّحِيمِ
AAUZU BILLAHI MINASHSHITANIR RAJEEM, BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM
parh kar “Soore
Fatiha” yani “Alhamdu” parhe
Sure Fatiha Hindi Me
ALHAMDU LIIAHI
RABBIL AALMEEN. ARRAHMAANIR RAHEEM. MALIKI YAWMIDDIN. IYYAKA NAABUDU WAIYYAAKA
NASATYEEN. IHDINASSIRAATAL MUSATQEEM. SIRATAL LAZEENA ANAMTA ALAIHIM, GHAIRIL
MAGHZOOBI ALAIHIM WALAZZUAALEEN.”
parh kar aahista se “Aameen” kahe, us ke baad koyi surat parhe jaise:
Sure Ikhlas Hindi me
“QUL HUWAL LAHU
AHAD. ALLAHUS SAMAD. LAM YALID WA LAM YULAD. WALAM YAKUL LAHU KUFUWAN AHAD.”
Aur agar imam ke peechhe ho to “Subhanaka
allahuma” parh kar khamosh ho jaye, kyon ki “Alhamdu” aur soorat imam parhe ga,
phir “Allahu Akbar” kahte huye “Ruku” kare, ruku me peeth ko seedha
rakhhe aur ungliyon se ghutnon ko pakar le aur 3 bar ya 5 bar ya 7 bar سُبْحَانَ رَبِّيَ الْعَظِيمِ SUBHANA RABBIYL AZEEM parhe phir
سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ رَبَّنَا لَكَ
الْحَمْدُ
SAMIA
LLAHU LIMAN HAMIDAH, RABBANA LAKAL HAMD
kahte huye sidha khara ho jaye, agar jamat ke sath namaz ho to سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ sirf iman parhe ga aur imam ke pichhe sare
log sirf “Rabbana lakal hamdu” kahen ge, Us ke baad “Allahu akbar” kahte huye
“Sajda” me jaye,
Sajda Karne ka tarika:
Sajde me jate waqt pahle dono ghutne
phir dono hath, phir naak, phir peshaani rakhhe, hathon ki ungliyan Qibla ki
taraf rahni chahiye, aur kuhniyan pisliyoun se aur pet ranon se alag rahi
chahiye, kuhniyan zameen par na bichhaaye, us ke baad 3 bar ya 5 bar ya 7 bar
سُبْحَانَ
رَبِّيَ الْأَعْلَى
SUBHANA RABBIYAL AALA
parhe, phir pahle peshaani,
phir naak, phir haath utha kar “Allahu akbar” kahte huye baith jaaye, phir
“Allahu akbar” kahte huye dosra sajda kare, phir “Allahu akbar” kahte
huye uthe, uthne me pahle peshaani, phir naak, phir ghutne utha kar panjon ke
bal sidhe khare ho jaye, aur khare ho kar hath bandh le, ab yek rakat puri ho
gayi
Dosri Rakaat:
dosri rakaat me “Sana” aur “Taauwz o Tasmiyah” na parhe, balki “Alhamdu” aur koyi soorat parhe. jaise
Sure Falaq Hindi me
QUL AUOOZU BIRABBIL FALAQ. MIN SHARRI MA KHALAQ. WAMIN
SHARRI GHASIQIN IZA WAQAB. WAMIN SHARRIN NAFFASAATI FIL UQAD. WAMIN SHARRI
HASIDIN IZA HASAD.”
Agar imam ke peechhe ho to
khamoosh khara rahe, phir isi tarah “Ruku”, “Sajda”, “Jalsa” aur dosra Sajda
kare, dosre sajde se uth kar bayan pair bichha kar us par baith jaaye. Dayan
pair khara rakhhe, aur hathoon ko ranon par rakh kar “Attahiyyat” parhe, Jab
“Ashhadu Alla ilaha” par pahonche to dayen haath ki ungliyun ka Halqa bana kar
“Shahadat ki ungli” se ishara kare,
Aur “Illalahu” par jhuka le,
ungliyon ka yah halqa namaz ke aakhir tak rahe ga. Is puri dua ko “Tashauhud”
kahte haien.
Tashauhud (Attahiyyat) Hindi me
ATTAHIYYATU LILAHI
WASSALAWATU WATTAYYIBATU, ASSLAMU ALAIKA AYYUHAN NABIYYU WARAHMATU LLAHI
WABARAKATUH, ASSLAMU ALAINA WAALA IBAADIL LASISALIHEEN, ASHHADU ALLAYILAHA
ILLALAHU WAASHHADU ANNA MUMAMMADAN ABDUHU WARASULUH.”
Dosti Rakaat ke baad:
Agar namaz “Do Rakaat” wali hai jaise “Fajr”
to “Tashauhud” khatm kar ke “Darud Shareef” Parhe, phir “Duaaye Masura”
parh kar salam phere, pahle dayen taraf garden kar ke “Asslamu alikum wa
rahmatullah” kahe, phir bayen taraf garden kar ke isi tarah kahe
Darud Shareef Hindi me
ALLAHUMMA SALLI ALA
MUHAMMAD, WA ALA AALI MUHAMMAD, KMA SALLAITA ALA IBRAHEEM, WAALA AALI IBRAHEEM,
INNAKA HAMEEDUM MAJEED. ALLAHUMMA BARIK ALA MUHAMMAD, WAALA AALI MUHAMMAD, KMA
BARAKTA ALA IBRAHEEM WAALA AALI IBRAHEEM, INNAKA HAMEEDUM MAJEED. “
Duaaye Masura Hindi me
ALLAHUMMA
INNI ZALAMTU NAFSI ZULMAN KASEERAUN WALA YAGHFIRUZ ZUNOOBA ILLA ANTA, FAGHFIR
LI, MAGHFIRATAM MIN INDIKA WARHAMNI, INNAKA ANTAL GHAFURUR RAHEEM.”
Aur agar 3 ya 4 rakaat wali
namaz ho Jaise: “Maghrib” “Isha” to “Attahiyyat” parhne ke baad “Darud Shareef”
na parhe, “Allahu Akbar” kahte huye seedha khara ho jaaye, aur teesri aur
chauthi rakaat puri kare, phir “Attahiyyat” “Darud” aur “Duaaye Masura” parh
kar salam pher de.
Note:Teen rakaat aur Char rakaat
wali Farz Namaz: jaise “Zuhr” “Asr” “Maghrib” aur “Isha” ki teesri aur
chauthi rakaat me “”Alhamdu” ke baad koyi soorat parna zaruri nahi hai, bas
“Alhamdu” parh kar “Ruku” kar le, lekin “Sunnat” aur “Nafal” ki
teesri aur chauthi rakaat me “”Alhamdu” ke baad kisi surat ka parhna
zaruri hai.