Wednesday, August 8, 2018

Namaz Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu


Namaz Parhne Ka Tarika 

Musalman Hone ke baad ek muslim aadmi ke liye namaz bahut zaruri hai, Namaz kisi bhi halat me maaf nahi hai, aadmi khare ho kar namaz nahi parh sakta to baith kar parhe, agar bimari ki wajah baith nahi sakta to lete lete parhe, agar let kar bhi nai parh sakta to sar aur aankh ke ishaare se parhe, Quran shareef me jagah jagah allah tala ne namaz ka order diya hai, namaz hamare Nabi salallahu alaihi wasallm ki sab se achhi cheez thi, yeh aap ke aankhon ki thandak thi, namaz behayaayi aur buri baaton se rokti bhi hai, namaz parhne wala aadmi saaf suthra rahta hai

Namaz Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu
Namaz Ka Tarika:
Namaz se pahle aadmi ka paak saaf hona zaruri hai, us ke baad khoob achhi tarah se wazu kare(Click here>>Wazu kese kare), phir “Qibla” ki taraf rukh kar ke khara ho jaye, phir jo namaz parhni hai dil se us ki niyyat kare ki: “mai fajr ki namaz parh raha hun ya zuhr ki”, us ke baad dono hath kaanon tak uthaye, aur “Allahu Akbar”  kahte huye donon hath naff ke niche bandh le, isi ko “Takbir e tahrima” kahte hain
Takbir-e-Tahrima
Right hand left hand ke upar, aur nigaah “Sajda” ki jagah par rakhhe, aur aurat apne hath ko sirf kandhon tak uthaye, us ke baad sine pe bandh le, isi ko “Qayam” kahte hain


Aurat apne hath ko kanon tak uthane ke bajay apne kandhon tak uthaye aur apne seene par bandh le.

Qayam
Us ke badd aahista aahisa “Sana” parhe
.سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، تَبَارَكَ اسْمُكَ، وَتَعَالَى جَدُّكَ، وَلَا إِلَهَ غَيْرُكَ

“SUBHANAKA ALLA HUMMA W BIHAMDIKA, W TABARAKA ISMUKA, W TAALA JADDUKA, W LA ILAHA GHIRURUK”

Us ke baad “Taauuz, Tasmiyah”
 أٌعُوذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيطَانِ الرَّجِيمِ بسم الله الرحمنِ الرَّحِيمِ
AAUZU BILLAHI MINASHSHITANIR RAJEEM, BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM
 parh kar “Soore Fatiha” yani “Alhamdu” parhe
sure-fatiha
Sure Fatiha Hindi Me
ALHAMDU LIIAHI RABBIL AALMEEN. ARRAHMAANIR RAHEEM. MALIKI YAWMIDDIN. IYYAKA NAABUDU WAIYYAAKA NASATYEEN. IHDINASSIRAATAL MUSATQEEM. SIRATAL LAZEENA ANAMTA ALAIHIM, GHAIRIL MAGHZOOBI ALAIHIM WALAZZUAALEEN.”
            parh kar aahista se “Aameen” kahe,  us ke baad koyi surat parhe jaise:
sure-ikhlaas
Sure Ikhlas Hindi me
“QUL HUWAL LAHU AHAD. ALLAHUS SAMAD. LAM YALID WA LAM YULAD. WALAM YAKUL LAHU KUFUWAN AHAD.”
Aur agar  imam ke peechhe ho to “Subhanaka allahuma” parh kar khamosh ho jaye, kyon ki “Alhamdu” aur soorat imam parhe ga,  phir “Allahu Akbar” kahte huye “Ruku” kare, ruku me peeth ko seedha rakhhe aur ungliyon se ghutnon ko pakar le aur 3 bar ya 5 bar ya 7 bar سُبْحَانَ رَبِّيَ الْعَظِيمِ SUBHANA RABBIYL AZEEM parhe phir
Ruku


 سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ 
 SAMIA LLAHU LIMAN HAMIDAH, RABBANA LAKAL HAMD
kahte huye sidha khara ho jaye,  agar jamat ke sath namaz ho to سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ sirf iman parhe ga aur imam ke pichhe sare log sirf “Rabbana lakal hamdu” kahen ge, Us ke baad “Allahu akbar” kahte huye “Sajda” me jaye,
Sajda Karne ka tarika:
Sajde me jate waqt pahle dono ghutne phir dono hath, phir naak, phir peshaani rakhhe, hathon ki ungliyan Qibla ki taraf rahni chahiye, aur kuhniyan pisliyoun se aur pet ranon se alag rahi chahiye, kuhniyan zameen par na bichhaaye, us ke baad 3 bar ya 5 bar ya 7 bar 
 سُبْحَانَ رَبِّيَ الْأَعْلَى
 SUBHANA RABBIYAL AALA 
parhe, phir pahle peshaani, phir naak, phir haath utha kar “Allahu akbar” kahte huye baith jaaye, phir “Allahu akbar” kahte huye dosra sajda kare,  phir “Allahu akbar” kahte huye uthe, uthne me pahle peshaani, phir naak, phir ghutne utha kar panjon ke bal sidhe khare ho jaye, aur khare ho kar hath bandh le, ab yek rakat puri ho gayi
Sajda

Dosri Rakaat:

dosri rakaat me “Sana” aur “Taauwz o Tasmiyah” na parhe, balki “Alhamdu” aur koyi soorat parhe. jaise
sure-falaq
Sure Falaq Hindi me
QUL AUOOZU BIRABBIL FALAQ. MIN SHARRI MA KHALAQ. WAMIN SHARRI GHASIQIN IZA WAQAB. WAMIN SHARRIN NAFFASAATI FIL UQAD. WAMIN SHARRI HASIDIN IZA HASAD.
Agar imam ke peechhe ho to khamoosh khara rahe, phir isi tarah “Ruku”, “Sajda”, “Jalsa” aur dosra Sajda kare, dosre sajde se uth kar bayan pair bichha kar us par baith jaaye. Dayan pair khara rakhhe, aur hathoon ko ranon par rakh kar “Attahiyyat” parhe, Jab “Ashhadu Alla ilaha” par pahonche to dayen haath ki ungliyun ka Halqa bana kar “Shahadat ki ungli” se ishara kare,
Qada
Aur “Illalahu” par jhuka le, ungliyon ka yah halqa namaz ke aakhir tak rahe ga. Is puri dua ko “Tashauhud” kahte haien.
Tashauhud (Attahiyyat) Hindi me
ATTAHIYYATU LILAHI WASSALAWATU WATTAYYIBATU, ASSLAMU ALAIKA AYYUHAN NABIYYU WARAHMATU LLAHI WABARAKATUH, ASSLAMU ALAINA WAALA IBAADIL LASISALIHEEN, ASHHADU ALLAYILAHA ILLALAHU WAASHHADU ANNA MUMAMMADAN ABDUHU WARASULUH.
Dosti Rakaat ke baad:

Agar namaz “Do Rakaat” wali hai jaise “Fajr”  to “Tashauhud” khatm kar ke “Darud Shareef” Parhe, phir “Duaaye Masura” parh kar salam phere, pahle dayen taraf garden kar ke “Asslamu alikum wa rahmatullah” kahe, phir bayen taraf garden kar ke isi tarah kahe
Salam
Darud Shareef Hindi me
ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMAD, WA ALA AALI MUHAMMAD, KMA SALLAITA ALA IBRAHEEM, WAALA AALI IBRAHEEM, INNAKA HAMEEDUM MAJEED. ALLAHUMMA BARIK ALA MUHAMMAD, WAALA AALI MUHAMMAD, KMA BARAKTA ALA IBRAHEEM  WAALA AALI IBRAHEEM, INNAKA HAMEEDUM MAJEED.
Duaaye Masura Hindi me
ALLAHUMMA INNI ZALAMTU NAFSI ZULMAN KASEERAUN WALA YAGHFIRUZ ZUNOOBA ILLA ANTA, FAGHFIR LI, MAGHFIRATAM MIN INDIKA WARHAMNI, INNAKA ANTAL GHAFURUR RAHEEM.”


Aur agar 3 ya 4 rakaat wali namaz ho Jaise: “Maghrib” “Isha” to “Attahiyyat” parhne ke baad “Darud Shareef” na parhe, “Allahu Akbar” kahte huye seedha khara ho jaaye, aur teesri aur chauthi rakaat puri kare, phir “Attahiyyat” “Darud” aur “Duaaye Masura” parh kar salam pher de.
Note:Teen rakaat aur Char rakaat wali Farz Namaz: jaise “Zuhr” “Asr” “Maghrib” aur “Isha” ki teesri  aur chauthi rakaat me “”Alhamdu” ke baad koyi soorat parna zaruri nahi hai, bas “Alhamdu” parh kar “Ruku” kar le, lekin “Sunnat” aur “Nafal”  ki teesri  aur chauthi rakaat me “”Alhamdu” ke baad kisi surat ka parhna zaruri hai.


0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home